ye kuchh badlaw sa achchha laga hai hamein ek dusra achchha laga hai samajhna hai use nazdik ja kar jise mujh sa bura achchha laga hai ye kya har waqt jine ki duaen yahan aisa bhi kya achchha laga hai safar to zindagi bhar ka hai lekin ye waqfa sa zara achchha laga hai meri nazren bhi hain ab aasman par koi mahw-e-dua achchha laga hai hue barbaad jis ke ishq mein hum wo ab ja kar zara achchha laga hai wo suraj jo mera dushman tha din bhar mujhe dhalta hua achchha laga hai koi puchhe to kya batlaenge hum ki is manzar mein kya achchha laga hai