shikoh-e-zat se dushman ka lashkar kanp jata hai agar kirdar pukhta ho sitamgar kanp jata hai tasawwur mein ubharta hai kabhi jab qabr ka manzar uchat jati hain ninden aur bistar kanp jata hai mile hain zakhm kuchh aise mujhe apne rafiqon se kai barson ke kuchh rishton ka mehwar kanp jata hai kisi bhi jang mein koi shahadat ki khabar sun kar sisak uthte hain kangan aur zewar kanp jata hai wo haidar murtaza bhi hain wahi sher-e-khuda bhi hain wahi ek nam sun ke ab bhi khaibar kanp jata hai chale aate hain kuchh yun be-saliqa log maikhane surahi rone lagti hai to saghar kanp jata hai wahi be-khauf rahta hai sada 'shayan' duniya mein khuda ke khauf se dil jis ka akasr kanp jata hai