tumhein dil-lagi bhul jaani padegi mohabbat ki rahon mein aa kar to dekho tadapne pe mere na phir tum hansoge kabhi dil kisi se laga kar to dekho wafaon ki hum se tawaqqo nahin hai magar ek bar aazma kar to dekho zamane ko apna bana kar to dekha hamein bhi tum apna bana kar to dekho khuda ke liye chhod do ab ye parda ki hain aaj hum tum nahin ghair koi shab-e-wasl bhi hai hijab is qadar kyon zara rukh se aanchal utha kar to dekho jafaen bahut kin bahut zulm dhae kabhi ek nigah-e-karam is taraf bhi hamesha hue dekh kar mujh ko barham kisi din zara muskura kar to dekho jo ulfat mein har ek sitam hai gawara ye sab kuchh hai pas-e-wafa tum se warna satate ho din-raat jis tarah mujh ko kisi ghair ko yun sata kar to dekho agarche kisi baat par wo khafa hain to achchha yahi hai tum apni si kar lo wo manen na manen ye marzi hai un ki magar un ko 'purnam' mana kar to dekho