tere badan ko hawa chhu ke jab bhi aati hai ghazal ka koi hasin sher gungunati hai zamin tarana-e-dozakh abhi bhi gati hai nai sadi hai ki shahnaiyan bajati hai ye aur mere iradon ko pukhta kar degi jo barq mere nasheman pe dandanati hai bujhe charagh jalana to moajiza thahra ye dekhiye ki hawa kis tarah bujhati hai idhar bhi sanpon ki zad par hayat hai larzan udhar faza ki ghutan un ka dil jalati hai tera suragh na apna pata na ilm-e-nujum na maut aai na kambakht nind aati hai fasad barpa kiya kis ne phir samundar mein bhadak ke mauj hare jangalon ko khati hai hai 'sarfaraaz' taqaza-e-waqt bhi malum pe wo rawish jo hasinon ka dil lubhati hai