tujh se bichhdun to ye khadsha hai akela ho jaun ghor tanhai ke jangal ka main hissa ho jaun ek tere dam se hi shadab hai ye mera wajud tu nazar pher le mujh se to main sahra ho jaun dil ki diwaron pe marqum rahe nam mera qabl is ke ki main bhula hua qissa ho jaun tu agar dil mein basa le to banun main shair tu jo honton pe saja le to main naghma ho jaun aisa ho jae na sujhe tujhe kuchh mere siwa aisa ho jae ki main hi teri duniya ho jaun jaanta hun main teri surmai aankhon ka tilism ek nazar mujh pe bhi main bhi tere jaisa ho jaun main adhura hun bahut tujh se bichhad kar ai dost tu jo mil jae dobara to main sara ho jaun