siyasi masnadon ki pasbani kyon nahin karte ki sachche log aakhir hukmrani kyon nahin karte isi ek baat ne mujh ko pareshan kar ke rakkha hai mere ashaar meri tarjumani kyon nahin karte tumhaari shan mein wo lab-kushai karta rahta hai palat kar tum kabhi aatish-bayani kyon nahin karte bashar ke hi muqaddar mein likhin kya hijraten sari farishto tum kabhi naql-e-makani kyon nahin karte agar kuchh bhi kaho un se nikal aati hain talwaren khuda wo guftugu aakhir zabani kyon nahin karte