sharab pi kar diya hai tum ne jo hum ko jam-e-sharab aadha azal se likkha hua tha shayad ki paen hum tum sawab aadha gale laga kar liya tha bosa hue the raazi visal par bhi tadap ne dil ko jaga diya kyon abhi to dekha tha khwab aadha falak se kah do sahar qarin hai gai wo zulmat hui shab aakhir shafaq hina le ke aap aae ki ud gaya hai khizab aadha yahan hai zoron pe na-tawani wahan nazakat se baat mushkil na kis tarah ho sawal aadha na kis tarah ho jawab aadha main apni ulfat ka haal likkhun bayan-e-husn-e-sanam ko padh kar ishaara ye hai jo sada rakkha waraq miyan-e-kitab aadha chhupa lin hathon se us ne aankhen ulat jo di hai naqab rukh se ruke na dast-e-hawas ki shokhi rahe ye jab tak hijab aadha tumhaari uthti hui jawani jo dekh pai shanawari mein wafur-e-hairat se rah gaya hai ubhar ke har ek habab aadha 'hayat' ghaflat nahin munasib buton ki taat ko chhod do ab zara to chaunko chali jawani guzar gaya hai shabab aadha