sharik-e-dard duniya mein badi mushkil se milta hai duaen jo dawa se dil ka mara dil se milta hai fareb-e-asman ghurbat ki raaten dekhte jao ki har tara charagh-e-sarhad-e-manzil se milta hai na jaane ruh kis nakaam ki maujon mein bekal se safina dagmaga jata hai jab sahil se milta hai tumhein to qadr karni chahiye thi apne aashiq ki giraate ho nazar se tum use jo dil se milta hai 'hayat' un ka zamana hai wo jo chahen sitam dhaen magar aashiq bhi mujh jaisa badi mushkil se milta hai