tumhaari yaad se nikli udasi

tumhaari yaad se nikli udasi
mujhe taslim hai aisi udasi

milan wo aakhiri bhula na apna
na us ke baad ki pahli udasi

samundar se bhi gahra dil hamara
hamare dil se bhi gahri udasi

bahut se pairahan badle hain dil ne
magar aakhir ko phir pahni udasi

kisi ne apne andar jazb kar li
kisi ne chehre tak rakkhi udasi

kisi ke lab pe hai muskan jhuti
kisi ki shakl par farzi udasi

koi harf-e-sukhan tak le gaya hai
kisi ne saz par gai udasi

kisi takhliq mein dhal jae jab tu
har ek pahlu se hai achchhi udasi

abhi shor-e-tarab tham jaega jab
hamare qalb se gunji udasi

zara si der khushiyon ki fazaen
phir is ke baad ek lambi udasi

khud apne aap tak simte huon ki
badi hi dur tak phaili udasi

udas is bar main ye soch kar hun
tere hote hue kaisi udasi

udasi ne bhi aakhir tang aa kar
ye mujh se kah diya itni udasi

'amar' hadd-e-nazar tak dekhta hun
main tujh mein bas udasi hi udasi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close