shauq deta hai mujhe paigham-e-ishq hath mein labrez le kar jam-e-ishq aap hun zauq-e-asiri se kharab koi le jae mujhe ta dam-e-ishq ishtiyaq-e-sajda se betab hun ai harim-e-kaba-e-islam-e-ishq qais o wamiq se kahan ab ahl-e-dil tha inhin logon se raushan nam-e-ishq nash par farhad ke shirin gai wo sitam-parwarda-e-alam-e-ishq aur yun karne lagi ro kar khitab ai wafa ki jaan ai nakaam-e-ishq tujh se raunaq-ashna hai subh-e-shauq tujh se zinat-afrin hai sham-e-ishq jaan de kar tu to chhuta ranj se rah gai main hi bala aasham-e-ishq tera marna ishq ka aaghaz tha maut par hoga mere anjam-e-ishq 'wahshat'-e-wahshi ki tha sab se alag ho gaya kya be-takalluf ram-e-ishq