sukhan ke chaak mein pinhan tumhaari chahat hai wagarna kuza-gari ki kise zarurat hai zamin ke pas kisi dard ka ilaj nahin zamin hai ki mere ahd ki siyasat hai ye intizar nahin shama hai rifaqat ki is intizar se tanhai khub-surat hai main kaise war dun tujh par mere sitara-e-sham ye harf-e-khwab to ek chand ki amanat hai main khak-e-khwab palak se jhatakne wala tha pata chala ki yahi hasil-e-masafat hai ye mustatil sa khaka ki jis ko ghar kahiye usi ke daera o dar mein meri jannat hai ye khosha-chini-e-khwan-e-anis hai 'arshad' namak namat jo mere sher mein fasahat hai