shauq ne ishrat ka saman kar diya dil ko mahw-e-ru-e-jaanan kar diya tu ne ai jamiyat-e-dil ki hawas aur bhi mujh ko pareshan kar diya wah re zakhm-e-mohabbat ki khalish jis ko dil ne rahat-e-jaan kar diya khud-numai khud-faroshi ho gai aap ne apne ko arzan kar diya un ke daman tak na pahuncha dast-e-shauq us ko masruf-e-gareban kar diya bazm mein jab ghair par dali nazar aap ne mujh par bhi ehsan kar diya kuchh badha kar main ne bahr-e-sharh-e-gham chaak ko unwan-e-daman kar diya jhuk gai aakhir haya se un ki aankh shauq ne mujh ko pashiman kar diya pa-e-but par main ne do sajde kiye kufr ko bhi juzw-e-iman kar diya use khayal-e-laila-e-majnun-nawaz tu ne sahra ko gulistan kar diya ho ke zail quwwat-e-ehsas ne mushkilon ko meri aasan kar diya dil nahin jata tha su-e-rah-e-dair kaise kafir ko musalman kar diya tu ne 'wahshat' kyun khilaf-e-rasm-e-ishq dard ko ruswa-e-darman kar diya