subh-e-gulshan mein ho gar wo gul-e-KHandan paida

subh-e-gulshan mein ho gar wo gul-e-khandan paida
baiza-e-ghuncha se ho bulbul-e-nalan paida

ashk hai ham-rah-e-ah-e-dil-e-sozan paida
kya tamasha hai ki aatish se hai baran paida

hai ajab kar numayan tere chashm o lab se
pal mein mar jate hain hum dam mein hain phir han paida

qad tera ai but-e-gul-posh ho gar saya-fagan
to qayamat ho sar-e-khak-e-shahidan paida

le uda baad ke manind pa pani saqi
kashti-e-mai hui jun takht-e-sulaiman paida

hun wo majnun ki kare hai meri pa-bosi ko
silsila halqa-e-chashman-e-ghazalan paida

hans ke dandan ko dikha do to na shabnam se sahar
dahan-e-ghuncha kare bagh mein dandan paida

zulf o khat dekh tere rukh pe na kyun hairan hon
chashma-e-mahr mein hain sumbul-o-raihan paida

kya ghazab hai ye tere daman-e-mizhgan ki jhapak
ishq ke dil se hui aatish-e-pinhan paida

tujh ko dun hur se nisbat to ye mera hai qusur
ki jahan mein nahin tujh sa koi insan paida

teri khidmat ko paristan mein bani hain pariyan
aur ghulami ke liye hain teri ghilman paida

ye tere zer-e-zaqan dast-e-hinai hai kahan
seb-e-jannat se hai sar-panja-e-marjaan paida

turfa-tar likh ghazal is bahr mein ek aur 'nasir'
karte hain gauhar-e-mani ko sukhan-dan paida


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close