shauq-e-warafta ko malhuz-e-adab bhi hoga

shauq-e-warafta ko malhuz-e-adab bhi hoga
shart hai mal-e-arab pesh-e-arab bhi hoga

lab-o-rukhsar mein hogi gul-o-mahtab ki baat
aankh mein tazkira-e-bint-e-inab bhi hoga

man leta hai meri baat mera hila-taraaz
aur sab wadon mein ek wada-e-shab bhi hoga

ishq wo shai hai ki barfile nihan-khanon mein
sard pad jae sharar-bar to jab bhi hoga

be-talluq hi sahi ye magar us shakhs ke pas
dil jo lagta hai to lagne ka sabab bhi hoga

har gali shahr ki ghaalicha-e-ushshaq nahin
khun-e-nahaq hai to phir dad-talab bhi hoga

qahr darwesh to hota hai ba-jaan-e-darwesh
zer-e-farman jo hota tha so ab bhi hoga

karb ke zahr ka mara hua insan hai ye
sar pe sau bojh magar khanda-ba-lab bhi hoga

ek asa pas na ho zoam-e-kalimi bhi ho
aisa lagta hai ki ye kar-e-ajab bhi hoga

yun to be-ab hain kheme ye jahan tak bhi hain
dil ye kahta hai kahin abr-e-tarab bhi hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close