ye kahan lagi ye kahan lagi jo qafas se shor-e-fughan utha jale aashiyane kuchh is tarah ki har ek dil se dhuan utha lagi aag mere jigar mein yun na lage kisi ke bhi ghar mein yun na to lau uthi na chamak hui na sharar ude na dhuan utha koi mast-e-mai-kada aa gaya mai-e-be-khudi wo pila gaya na sada-e-naghma-e-dair uthi na haram se shor-e-azan utha gae sath shaikh-e-haram ke hum na koi mila na liye qadam na to khum badha na subu jhuka jo utha to pir-e-mughan utha lab-e-khum se nikle sada-e-qum sar-e-dosh aise hazar kham kham-e-asman bhi ho jis mein gum wo siyah abr kahan utha tujhe mai-e-farosh khabar bhi hai ki maqam kaun hai kya hai shai ye rah-e-haram mein dukan-e-mai tu yahan se apni dukan utha ye saped-rish 'riyaz' hai jo bana hai bazm mein pand-go ise kyun na abr-e-siyah kahun ki baras pada ye jahan utha