zamin ko phul faza ko ghataen deta hai mujhe falak se wo ab tak sadaen deta hai wahi nawa-gar-e-alam khuda-e-saut-o-sada wahi hawa ko faqat saen saen deta hai wahi kahin gul-e-naghma kahin gul-e-nauha wahi ghamon ko saron ki qabaen deta hai wo koh-sar-e-tahayyur wo aab-shaar-e-nida khamoshiyon ko bhi kya kya nidaen deta hai koi to roe lipat kar jawan lashon se isi liye to wo beton ko maen deta hai