shauq phir kucha-e-jaanan ka satata hai mujhe main kahan jata hun koi liye jata hai mujhe jalwa kis aaina-ru ka hai nigahon mein ki phir dil-e-hairat-zada aaina banata hai mujhe aashiqi shewa ladakpan se hai apna naseh kya karun main ki yahi kaam kuchh aata hai mujhe lutf kar lutf ki phir mujh ko na dekhega kabhi yaad rakh yaad ki tu dar se uthata hai mujhe 'wahshat' is misra-e-jurat ne mujhe mast kiya kuchh to bhaya hai ki ab kuchh nahin bhata hai mujhe