surur-afza hui aakhir sharab aahista aahista hua wo bazm-e-mai mein be-hijab aahista aahista rukh-e-raushan se yun utthi naqab aahista aahista ki jaise ho tulu-e-aftab aahista aahista kiya jab shauq ne us se khitab aahista aahista haya ne bhi diya aakhir jawab aahista aahista wo masti-khez nazren rafta rafta le udin mujh ko kiya kashana-e-dil ko kharab aahista aahista badha hangama-e-shauq is qadar bazm-e-harifan mein ki rukhsat ho gaya us ka hijab aahista aahista kiya kaamil hamein ek umr mein soz-e-mohabbat ne hue hum aatish-e-gham se kabab aahista aahista abas tha zabt ka dawa sitam us ke sitam nikle nigahen ho gain aakhir pur-ab aahista aahista dabistan-e-wafa mein umr bhar ki safha-gardani samajh mein aai ulfat ki kitab aahista aahista ba-qadr-e-shauq use tab-e-tapidan thi kahan qatil kiya bismil ne tere iztirab aahista aahista bala hain shahidan-e-shahr 'wahshat' mai-parasti mein hua main un ki sohbat mein kharab aahista aahista