taufiq se kab koi sarokar chale hai duniya mein faqat tala-e-bedar chale hai thahrun to chatanon si kaleje pe khadi hai jaun to mere sath hi diwar chale hai har ghuncha bade chaw se khilta hai chaman mein har daur ka mansur sar-e-dar chale hai rangon ki na khushbu ki kami hai dil-o-jaan ko tosha jo chale sath wo ek khar chale hai dil ke liye bas aankh ka mear bahut hai jo sikka-e-jaan hai sar-e-bazar chale hai hairat se shagufon ki jhapakti nahin aankhen kis aan se kanton ka kharidar chale hai khurshid wahan hum ne sulagte hue dekhe kirnon ka jis aashob mein bewpar chale hai ek jumbish-e-mizhgan ki ijazat bhi nahin hai dil sath chala hai ki sitamgar chale hai the khizr bhi lakhon yahan isa bhi bahut the aazar jo dil ka hai so aazar chale hai