sher mere kahan the kisi ke liye main ne sab kuchh likha hai tumhaare liye apne dukh sukh bahut khub-surat rahe hum jiye bhi to ek dusre ke liye ham-safar ne mera sath chhoda nahin apne aansu diye raste ke liye is haweli mein ab koi rahta nahin chand nikla kise dekhne ke liye zindagi aur main do alag to nahin main ne sab phul kante isi se liye shahr mein ab mera koi dushman nahin sab ko apna liya main ne tere liye zehn mein titliyan ud rahi hain bahut koi dhaga nahin bandhne ke liye ek taswir ghazlon mein aisi bani agle pichhle zamanon ke chehre liye