siyahiyon ke bane harf harf dhote hain ye log raat mein kaghaz kahan bhigote hain kisi ki rah mein dahliz par diye na rakho kiwad sukhi hui lakdiyon ke hote hain charagh pani mein maujon se puchhte honge wo kaun log hain jo kashtiyan dubote hain unhin mein khelne aati hain be-riya ruhen wo ghar jo lal hari daftiyon ke hote hain qadim qasbon mein kaisa sukun hota hai thake thakae hamare buzurg sote hain chamakti hai kahin sadiyon mein aansuon se zamin ghazal ke she'r kahan roz roz hote hain