sher se shairi se darte hain kam-nazar raushni se darte hain log darte hain dushmani se teri hum teri dosti se darte hain dahr mein aah-e-be-kasan ke siwa aur hum kab kisi se darte hain hum ko ghairon se dar nahin lagta apne ahbab hi se darte hain dawar-e-hashr bakhsh de shayad han magar maulwi se darte hain ruthta hai to ruth jae jahan un ki hum be-rukhi se darte hain har qadam par hai mohtasib 'jalib' ab to hum chandni se darte hain