shikast-e-jaan se siwa bhi hai kar-e-fan kya kya azab khinch raha hai mera badan kya kya na koi hijr ka din hai na koi wasl ki raat magar wo shakhs ki hai jaan-e-anjuman kya kya ada hui hai kai bar tark-e-ishq ki rasm magar hai sar pe wahi qarz-e-jaan-o-tan kya kya nigah-e-bulhawasan hae kya qayamat hai badal rahe hain gul-o-lala pairahan kya kya guzar gae to guzarte rahe bahut khurshid jo rang lai to lai hai ek kiran kya kya qarib tha ki main kar-e-junun se baz aaun khinchi khayal mein taswir-e-kohkan kya kya