sukhan mein sahl nahin jaan nikal kar rakhna ye zindagi hai hamari sambhaal kar rakhna khula ki ishq nahin hai kuchh aur is ke siwa raza-e-yar jo ho apna haal kar rakhna usi ka kaam hai farsh-e-zamin bichha dena usi ka kaam sitare uchhaal kar rakhna usi ka kaam hai is dukh-bhare zamane mein mohabbaton se mujhe mala-mal kar rakhna bas ek kaifiyat-e-dil mein bolte rahna bas ek nashshe mein khud ko nihaal kar rakhna bas ek qamat-e-zeba ke khwab mein rahna basa ek shakhs ko hadd-e-misal kar rakhna guzarna husn ki nazzargi se pal-bhar ko phir us ko zaiqa-e-la-zawal kar rakhna kisi ke bas mein nahin tha kisi ke bas mein nahin bulandiyon ko sada paemal kar rakhna