shikast-e-khwab-e-tarb-e-za se hosh-mand hua uthe jo hath to bab-e-qubul band hua guzar raha hai junun reg-e-azmaish se kabhi saba kabhi sarsar kabhi samand hua karun bhi kya ki nazar aasman pe rahti hai main ek sitara-e-shab ka niyaz-mand hua ajib shai hai shafaq-rezi-e-tamanna bhi ki sair-e-jaan bhi hui dard bhi do-chand hua nazar bhatakti rahi aur main raha aazad nazar jami to main shayan-e-qaid-o-band hua hila na apni jagah se na chaak-daman tha hawa se lad ke magar barg-e-arjumand hua ye iftikhar-e-shajar shakh-e-nau-bahaar se hai jo paemal-e-khizan tha wo sar-buland hua bahut qarib tha mujh se mera harif na tha to kyun wo sahib-e-dil darpai gazand hua nahin hai qamat-e-baala se kam mera qad bhi wo aasman hai to ho main bhi khud-pasand hua