shikast-e-rang-e-tamanna ko arz-e-haal kahun sukut-e-lab ko taqaza-e-sad-sawal kahun hazar rukh tere milne ke hain na milne mein kise firaq kahun aur kise visal kahun mujhe yaqin hai ki kuchh bhi chhupa nahin un se unhen ye zid ki dil-e-mubtala ka haal kahun tu be-misal sahi phir bhi dil ko hai israr ada ada ko teri aalam-e-misal kahun mizaj-e-mahfil-e-giti agar na barham ho to rang-e-aish ko gard-e-rukh-e-malal kahun hawa ke dosh pe hai ek shola-e-larzan kahun to kya teri tahzib ka maal kahun wo ek khwab jo tamir aap hai apni main kya haqiqat-e-ranai-e-khayal kahun ghazal ki baat rahegi wahin agar sau bar jawab-e-shokhi o ranai-e-ghazal kahun 'rawish' ye sadgi-e-ishq ka taqaza hai kamal-e-hosh ko ikhlas ka zawal kahun