ye nizam-e-zindagi badla hai kya

ye nizam-e-zindagi badla hai kya
dekhte rahiye abhi dekha hai kya

umr kati hai samajhte bujhte
aakhirash samjha hai kya bujha hai kya

aaina bhi dekhta ho aap ko
yun bhi aaina kabhi dekha hai kya

jis pe jaan dene ki khate ho qasam
tut kar us ko kabhi chaha hai kya

mangte phirte ho saya dhup se
kyon miyan sar par koi saya hai kya

ai kabutar sar pe aa pahuncha uqab
be-khabar masti mein tu udta hai kya

zeb-o-zebaish ki khunin daud mein
kya hai zeba aur na-zeba hai kya

dur tak andher hi andher hai
lashkar is ja se koi guzra hai kya

zulm ab to qabil-e-ezaz hai
zalzala phir shahr mein aana hai kya

ju-e-khun hai ek tasawwur mein rawan
jaane is taqdir mein likkha hai kya

phir hayat-afroz ho bazm-e-sukhan
han 'sahar' sar mein yahi sauda hai kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close