shikayat kar ke ghussa aur un ka tez karna hai abhi to guftugu-e-maslahat-amez karna hai ye duniya ja-e-asaish nahin hai aazmaish hai yahan jo sakhtiyan tujh par padin angez karna hai ghazal-khwani ko tu is bazm mein aaya nahin 'nadir' tujhe yan waz kahna pand-e-sud-amez karna hai