waqt aakhir le gaya wo shokhiyan wo bankpan phul se chehre the kitne aur the nazuk badan log rakhte hain dilon mein aatish-e-bughz-o-hasad aur phir karte hain shikwa jal raha hai tan badan chal pade jab jaanib-e-manzil to phir ai ham-safar kya safar ki mushkilen kya duriyan kaisi thakan hum nahin todenge apna ittifaq-o-ittihad kar chuke hain faisla ye ab sabhi ahl-e-watan un ki sazish hai ki bas nam-e-wafa mitta rahe meri koshish hai phale-phule wafaon ka chalan jashn hoga phir wafa ka dosti ka ek din phir sajegi pyar ke ehsas ki ek anjuman jo bhi hain 'shayan' ahl-e-zarf un ko khauf kya un ke aage sar-nigun hain waqt ke dar-o-rasan