shikwa gar kije to hota hai guman taqsir ka

shikwa gar kije to hota hai guman taqsir ka
har jafa se bab khulta hai naya tazir ka

us se paiham guftugu kije kabhi barham na ho
asl par bhaari hai pahlu aap ki taswir ka

dil ke dar pe hain ye donon rishta-e-ham-saegi
gesu-e-shab-gir se hai fikr daman-gir ka

jaur se ghabrane wale hum nahin hain dekhiye
hausla kab tak jawan rahta hai charkh-e-pir ka

kis liye khwab-e-zulekha tishna-e-tabir hai
misr mein shohra bahut yun to hua tabir ka

gholte hain kis liye wo chashma-e-haiwan mein zahr
kaam lete hain tabassum se wo kyun tahqir ka

kash meri kah rahe hain sabza-o-dasht-o-daman
lala-o-barg-o-saman aalam hai ye kashmir ka

naz se dekha hai khaliq ne mitate barha
nakhun-e-tadbir ko likkha hua taqdir ka

khak se kar khaksari se riyazat se araq
aarzu ki aanch de nuskha hai ye iksir ka

hasraton se is tarah rah rah ke hoti hai khalish
tut jae lag ke dil mein jaise paikan tir ka

sher mein 'iqbaal' ka shaida hai 'ghaalib' ka asir
'hamid'-e-be-bahra-go munkir nahin hai mir ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close