shoala-e-ah ne sikha hai jalana dil ka nahin milta hai jo pahlu mein thikana dil ka shokhiyan aaengi badhne do abhi sin un ka zulf-e-pur-pech sikha degi phansana dil ka nae andaz se lete hain wo dil aashiq ka rawish-e-naz se sikha hai churana dil ka surat-e-barg-e-hina kis ne banaya tum ko pesh kar pae nigarin mein lagana dil ka kya mujhe dasht-nawardi ka maza deta hai justuju mein teri yun khak udana dil ka kya khabar thi wo pae sair idhar aaega sikhta parda-e-pahlu mein chhupana dil ka un ke kuche mein bapa fitna-e-mahshar na kare shab-e-tarik mein kya shor machana dil ka tur-e-ulfat pe chalo ta main dikhaun tum ko ho ke behosh kabhi hosh mein aana dil ka shukr kar shukr 'jamila' ki zahe tera nasib ho gaya kucha-e-jilan mein thikana dil ka