waqt par aate hain na jate hain roz iqrar bhul jate hain wo jo be-wajh muskuraate hain saikdon wahm dil mein aate hain ashk-e-hasrat nikal ke daman mein jaan se hath dhoe aate hain jab tum aate nahin ho wade par malak-ul-maut ko bulate hain so gaya bakht jab se ro ro kar sare ham-sayon ko jagate hain un ko sharm-o-haya nahin aati dil chura kar nazar churaate hain be-khata hai wo aasman mujrim is ko ilzam kyun lagate hain jaan kar ban gae hain hum bhole chutkiyon mein kise udate hain tere kuche mein hum bhi ab thak kar dil ke manind baithe jate hain ghair kya aur us ki hasti kya aap kyun muft khauf khate hain koi taza sitam kiya ijad dekh kar wo jo muskuraate hain aag pani mein kyun lagate ho nek jo log hain bujhate hain tum mere dil mein ho to dekhun main hur o ghilman kahin samate hain main ne puchhi jo wajh-e-qatl kaha thahro dam le ke hum batate hain ishq tere tufail duniya ke tanzen sunte hain tane khate hain be-sabab kya bigadne ka bais aap 'parwin' ko bhi banate hain