shohrat hai meri sukhan-wari ki hindi mein hai tarz farsi ki kyun zikr-e-visal se khafa ho ye baat to hai hansi-khushi ki allah re nazakat-e-lab-e-yar but-khane pade jo mai-kashi ki shikwa na karun main ta-lab-e-gor dushman bhi kahe ki dosti ki ho dida-e-mehr shabnam-afshan haalat jo dikhaun be-kasi ki jab maut kisi tarah na aae ghabra kar hum ne aashiqi ki khamosh ho shama rote rote taqrir karun jo khamushi ki ai maut azab se chhudaya is qaid se tu ne mukhlisi ki bulbul ko kiya asir-e-gul-dam sayyaad ne khub munsifi ki dekha jo wo rashk-e-mah-e-kanan rangat hui zar-dastari ki pahunche na ba-rang-e-shana ta zulf kya bakht-e-siyah ne kotahi ki dozakh ki tarah jalen na zahid jannat mein bhi hum ne mai-kashi ki nale kiye chupke chupke roe kya kya gham yar ki khushi ki ghulon ne lahad pe hun wo wahshi aankhon se aa ke raushni ki ai 'arsh' khuda-o-but ahad hain mushrik ko samai hai dui ki