ye ishq hai wahshat hai ki aashufta-sari hai jo kuchh hai mere sar pe magar taj-wari hai aankhon mein chamakti hai kashish us ke badan ki jalti hai zamin dhup ki har shakh hari hai har chaare se badhta hai mere zakhm ka risna lanat hai agar waqt ki ye chaaragari hai har mauj mein hai us ke badan ke kai jadu wo rashk-e-qamar rashk-e-jinan rashk-e-pari hai ummid bhi khud laut ke ab aa na sakegi is daur ke rahbar ki ajab rahbari hai thahra hi nahin dasht-nawardi ka musafir aashiq ke muqaddar mein faqat dar-ba-dari hai sharma ke shab-e-gham meri banhon mein simat aa main ne hi sitaron se teri mang bhari hai mujh se wo 'nadim' ab bhi talluq na rakhenge aadat hai buri meri har ek baat khari hai