shuur mein kabhi ehsas mein basaun use magar main chaar taraf be-hijab paun use agarche fart-e-haya se nazar na aaun use wo ruth jae to sau tarah se manaun use tawil hijr ka ye jabr hai ki sochta hun jo dil mein basta hai ab hath bhi lagaun use use bula ke mila umr bhar ka sannata magar ye shauq ki ek bar phir bulaun use andheri raat mein jab rasta nahin milta main sochta hun kahan ja ke dhund laun use abhi tak us ka tasawwur to mere bas mein hai wo dost hai to khuda kis liye banaun use 'nadim' tark-e-mohabbat ko ek umr hui main ab bhi soch raha hun ki bhul jaun use