tha pa-shikasta aankh magar dekhti to thi mana wo be-amal tha magar aagahi to thi ilzam-e-narasi se mubarra nahin thi sip lekin kisi ke shauq mein dubi hui to thi mana wo dasht-e-shauq mein pyasa hi mar gaya ek jhil justuju ki pas-e-tishnagi to thi ehsas par muhit the lafzon ke daere lafzon ke daeron mein magar zindagi to thi viran tha sehn-e-bagh magar is qadar na tha kone mein sukhe patton ki mahfil jami to thi gham dur kar ke aur bhi mafluj kar diya tanhaiyon ki raat mein dil-bastagi to thi is thandi raat mein to andhere ka raj hai suraj jala raha tha magar raushni to thi