sunata kya main use taqat-e-bayan na thi

sunata kya main use taqat-e-bayan na thi
kuchh aisi waisi mohabbat ki dastan na thi

tere siwa koi is ghar mein kis tarah aata
dil-e-figar tha kanjare ki ye dukan na thi

wo sang-e-kaba jo ek bosa-gah-e-alam hai
kahin tumhaare hi ghar ki to aastan na thi

jinan mein dekh ke huren tu kyon na yaad aata
ki teri si wo malahat wo aan-ban na thi

wo bosa tegh ka phir bar bar kyon leta
agar lahu mein mere bu-e-zafran na thi

sab ek aan mein be-parda raaz ho jata
tu shukr kar ki hamein khu-e-imtihan na thi

ghazab ki kis tarah us but ne mar dala mujhe
kaman mein tir na tha hath mein kaman na thi

kahin junun to nahin ho gaya tujhe 'nayab'
tu us ke pichhe jo dauda ye teri shan na thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close