silsila ab bhi khwabon ka tuta nahin kuch kar jaen kab kuchh bharosa nahin hain fasilon se uljhe hue sar-phire dur tak koi shahr-e-tamanna nahin sham se hi gharon mein padin kundiyan chand is shahr mein kyun nikalta nahin aag lagne ki khabren to pahunchin magar koi hairat nahin koi chaunka nahin chhin kar mujh se le jae mera badan mo'tabar itna koi andhera nahin kya yahi milte rahne ka inam hai ek khidki nahin ek jharoka nahin ek manzar mein lipte badan ke siwa sard raaton mein kuchh aur dikhta nahin tez ho jaen is ka to imkan hai aandhiyan ab ruken aisa lagta nahin