ye kahan se hum gae hain kahan kahen kya teri tag-o-taz mein ki ye aasman-o-zamin jahan na nasheb mein na faraaz mein tu darun-e-khana barun-e-dar tu hazar pardon mein jalwa-gar are o haqiqat-e-parda-war teri shokhiyan mein majaz mein wahi aae arsh se farsh tak wahi chhae farsh se arsh tak mile aise zarre hazar-ha hamein khak-e-rah-e-majaz mein kahin tez hai kahin narm hai yahi aanch mutrib-e-khush-nawa mere nale mein tere naghme mein mere soz mein tere saz mein tere sajde mein wo maza mila ki tadap ke sine se aa raha koi dagh hai ki hai dil mera ye meri jabin-e-niyaz mein ye udaenge kabhi rang bhi ye dikhaenge kabhi rang bhi yahi laenge kabhi rang bhi jo rangen hain rang-e-majaz mein ghadi jis ki hashr ka ek din shab-gor jis ka har ek pal wo maze hain hasrat-e-marg mein jo khizr ki umr-e-daraaz mein use lag ishq ki kahte hain use aag ishq ki kahte hain na junun hai ye junun mein na koi ye raaz hai raaz mein jinhen log kahte hain duzd-e-mai wo khuda-parast 'riyaz' hain ye suna hai kal ki janab hi pas-e-khum the mahw namaz mein