sune sune ujde ujde se gharon mein le chalo mujh ko mere roz-o-shab ke manzaron mein le chalo kuchh to apne pas bhi ho zindagi ke waste koi to sauda-e-kham apne saron mein le chalo na-rasai ka tasawwur kyun udanon mein rahe manzilon ki duriyan apne paron mein le chalo shahr ki ranginiyon mein hain kahan gunjaishen zat ki viraniyan sab maqbaron mein le chalo phir tumhaare mabadon ko mil gae mabud kuchh phir hamare jism murda pattharon mein le chalo kuchh na kuchh ban jaega naqd-o-nazar ke baad wo masala kuchh bhi na ho danishwaron mein le chalo aaj pahli bar mujh se kyun wo haara hai 'hayat' aaj mujh ko shahr ke bazigaron mein le chalo