sulagta dasht yakayak bujha nahin karta

sulagta dasht yakayak bujha nahin karta
ye waqt-e-hijr hai aise kata nahin karta

zara sa farq hai shishe mein aur is dil mein
ye tutta to hai lekin sada nahin karta

dilon mein ishq ki kheti afim jaisi hai
ki is ke baad yahan kuchh uga nahin karta

kuchh ek log mohabbat se khauf khate hain
sabhi ko mausam-e-baran hara nahin karta

pata ye hijr se itna to chal gaya mujh ko
koi kisi se bichhad kar mara nahin karta

ye zakhm lazmi hai haal ki gawahi ko
yahi main soch ke in ki dawa nahin karta

kuchh ek roz se ek bekali si rahti hai
kahin wo yaad to mujh ko kiya nahin karta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close