zindagi apni hui yar ki fitrat ki tarah hum bhi kal hon ki na hon us ki inayat ki tarah waqt hum ko ye bure din na dikhata ai kash hum bhi uth jate zamane se mohabbat ki tarah hum to har lamhe ko dete rahe sanson ka hisab hum pe tuta hai har ek lamha qayamat ki tarah gul khilaega ye maqtul-lahu dharti par kisi rukhsar pe chadhti hui rangat ki tarah log kahte hain na kyon bhul gaya main us ko wo ki tha jo meri buniyaadi zarurat ki tarah zindagi to kisi saghar mein dhali to hoti hum to pi lete tujhe jam-e-shahadat ki tarah