sina lahuluhan hai kali chattan ka patthar mein bhi guman sa hota hai jaan ka chhota sa ek tinka chidiya ki chonch mein shahtir lag raha tha jo unche makan ka qindil le ke khud hi wo khandaq mein ja gira nara laga raha tha abhi sawdhan ka hai samne se aankh milane ka lutf aur khelega kya shikar shikari machan ka 'ajiz' meri qamiz mein atka tha jo kabhi tohfe ka tha wo phul ki kanta tha jaan ka