sinaon kis tarah un ko hai kaisi dastan meri kabhi meri zaban un ki kabhi un ki zaban meri hamesha zindagi zer-o-zabar bardasht karti hai guzarti ja rahi hai is tarah umr-e-rawan meri banaya mo'atabar insan ko jis ne sajda karne par main be-bahra rahun us se ye himmat hai kahan meri teri ghatti hui shohrat mujhe aagah karti hai kahin barson ki mehnat ho na jae raegan meri haqiqat mein mohabbat zindagi ka ek qarina hai na bikhri aaj tak zebaish-e-kaun-o-makan meri