tu kabhi mail-e-wafa na hua phir bhi tujh se mujhe gila na hua ek mauj-e-nashat thi hasti gham raha had mein par siwa na hua ishq tha ek saneha dil ka lab pe aaya to ye fasana hua ras tapakta tha un labon se main galiyan kha ke be-maza na hua tishna-kaamon ki pyas bujh jati tujh se itna bhi saqiya na hua zindagi intizar mein guzri wada un ka koi wafa na hua 'shad' dhunde hazar pairae phir bhi izhaar-e-muddaa na hua