tujhse bichhaD ke samt-e-safar bhulne lage

tujh se bichhad ke samt-e-safar bhulne lage
phir yun hua hum apna hi ghar bhulne lage

qurbat ke mausamon ki ada yaad rah gai
guzri rafaqaton ka asar bhulne lage

azbar hain yun to kucha-e-jaanan ke sab nishan
lekin hum us ki rahguzar bhulne lage

pahunche the hum bhi shahr-e-tilismat mein magar
wo ism jis se khulna tha dar bhulne lage

hum gosha-gir bhi the kisi mahr ki misal
ojhal hue udhar to udhar bhulne lage

jaan-e-'hasan' ab is se ziyaada main kya kahun
mar jaun teri yaad agar bhulne lage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close