sisakte aab mein kis ki sada hai

sisakte aab mein kis ki sada hai
koi dariya ki tah mein ro raha hai

sawere meri in aankhon ne dekha
khuda chaaron taraf bikhra hua hai

andheri raat ka tanha musafir
meri palkon pe ab sahma khada hai

sameto aur sine mein chhupa lo
ye sannata bahut phaila hua hai

haqiqat surkh machhli jaanti hai
samundar kaisa budha dewta hai

pake gehun ki khushbu chikhti hai
badan apna sunahra ho chuka hai

hamari shakh ka nau-khez patta
hawa ke hont aksar chumta hai

mujhe un nili aankhon ne bataya
tumhaara nam pani par likha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close