tamiz-e-kafir-o-momin khirad ki be-basari quyud-e-dair-o-haram hain dalil-e-kam-nazari wo ishq kya ki ho na-ashna-e-jazb-o-junun wo zakhm kya ki ho ehsanmand-e-chaaragari mujhe khulus ne luta to kuchh murawwat ne ada-shanas-e-wafa ki na puchh hila-gari baghair soz-e-tamanna fusun-o-afsana fughan-e-nim-shabi ho ki nala-e-sahari ye mujh ko kaun si manzil mein ishq le aaya na kaam aai dil-e-nukta-dan ki nukta-wari gulon se sehn-e-chaman hai abhi tahi-daman sikhao ghuncha-e-taza ko fann-e-jama-wari hawas ne dam bichhae hain har taraf 'faruq' butan-e-asr ki mujh se na puchh fitnagari