sitam bhi karta hai us ka sila bhi deta hai ki mere haal pe wo muskura bhi deta hai shanawaron ko usi ne dubo diya shayad jo dubton ko kinare laga bhi deta hai yahi sukut yahi dasht-e-jaan ka sannata jo sunna chahe koi to sada bhi deta hai ajib kucha-e-qatil ki rasm hai ki yahan jo qatl karta hai wo khun-baha bhi deta hai wo kaun hai ki jalata hai dil mein sham-e-umid phir apne hath se us ko bujha bhi deta hai wo kaun hai ki banata hai naqsh pani par to pattharon ki lakiren mita bhi deta hai wo kaun hai ki jo banta hai rah mein diwar aur us ke baad nai rah dikha bhi deta hai wo kaun hai ki dikhata hai rang rang ke khwab andheri raaton mein lekin jaga bhi deta hai wo kaun hai ki ghamon se nawazta hai mujhe ghamon ko sahne ka phir hausla bhi deta hai mujhi se koi chhupata hai raaz-e-gham sar-e-sham mujhi ko aakhir-e-shab phir bata bhi deta hai