sitam firaq ke sadmon ne ai nigar kiya jigar ko khun kiya dil ko dagh-dar kiya ye shoabde hain tere inqilab-e-dahr nahin are faqir ise tu ne shahryar kiya kabhi bahisht ke qabil na the mere aamal karim tere karam ne umid-war kiya hazar-haif ki marqad pe bhi hua andher hawa ne kushta charagh-e-sar-e-mazar kiya sitam-shiar sitam ka kharab hai anjam bura kiya sitam ai charkh ikhtiyar kiya adam mein qafile wale pahunch gae 'raushan' ye ghar ujad ke aabaad wo dayar kiya